Taal ka Mehtav (Importance of Taal)
Taal ka mehtav - (Part 1)
Sangeet Ratnakar Granth ke upyukt shalok ka arth h ki gaayan,vadan aur nritey taal se hi pratishdith hote h,athwa ache lagte h.Vastav me taal ke bina gaana,bajana bilkul niras lagta h.Taal ki sangti se gaayan,vadan me jaan pad jaati h aur sangeet ananddayak va parbhavshali ban jaata h.Kyuonki taal sangeet ko sanchalit karta h.Taal ke saath gayak,vadak ek maryada me bandh jate h aur unke liye taal ka nirvah kerna aavshayak ho jata h.Taal ko sangeet ke pran kaha gaya h,jis parkar manav shareer ki rachna ke liye asthi,pinjer aur pran aavshayak h,usi parkar shastriye sangeet ke liye taal ki aavshayakta hoti h.Raag ki bandish shastriye sangeet ka keval shareer maatr hoti h,parntu taal unme praano ka sanchaar kerta h.Anand ki prapti me bhi taal purn roop me sahayak hota h.Taal sunte hi hamare haath,paav,sir sabhi hilne lag jate h.Taal ke dawara anandanubhuti ka partayksh perdarshan bacho me dekha ja sakta h,jo taal ki thap per ni:sankoch nachne lag jate h.Is parkar sangeet ke dawara anandanubuti ya rasanubhuti me bhi taal ka yog sawar ke saman hi maana gaya h.Shastron me taalyukt gaayan,vadan ko moksh prapti ka marg mana gaya h.
Taal ka mehtav-(part2)-Bhin-Bhin matraon ke samuh se vibhin taalon ki rachna hoti h,jese 6 matra ka dadra taal,8 matra ka kehrwa taal,10 matra ka jhap taal,12 matra ka ek taal aur 16 matra ka teen taal adi.In taalon ki rachna geet ke bhin parkaron ke aadhar per hui h,jese khayal ki sangti ke liye teen taal,ek taal,tilwada taal,thumari gaayan sheyli ki sangati ke liye deepchandi taal aur halke fulke geeton ke liye dadra aur kehrawa adi taalon ki rachna hui.Partek taal ke kuch bol nishchit ker liye jate h,jese-dhina,kit,tak,tu,na adi.Taal ke in nishchit bolon ko tabla,mridang,dholak adi chamde ke madde hue vadhyon per bajaya jata h.Gaate-bajate samey gaayan,vadananukul taal ki lagatar sangti hoti rehti h,jis se gaayan vadan bada madhur aur akarshak ban jata h.
Saransh yeh hai ki taal nishchit maatraon ka ek kayam kiya hua chakr hota h.Yeh gaayan,vadan aur nritey ke kalman ko nirdharit karne ke liye thik usi parkar kaam krta h,jis parkar ghante batane ke liye minute aur minute ke liye seekind.Pertek taal ko batane ke liye maatra,sam tali,khali,vibhag,aavartan,the ka adi kuch shabdon ka paryog kiya jata h.
Taal ka mehtav - (Part 1)
Sangeet Ratnakar Granth ke upyukt shalok ka arth h ki gaayan,vadan aur nritey taal se hi pratishdith hote h,athwa ache lagte h.Vastav me taal ke bina gaana,bajana bilkul niras lagta h.Taal ki sangti se gaayan,vadan me jaan pad jaati h aur sangeet ananddayak va parbhavshali ban jaata h.Kyuonki taal sangeet ko sanchalit karta h.Taal ke saath gayak,vadak ek maryada me bandh jate h aur unke liye taal ka nirvah kerna aavshayak ho jata h.Taal ko sangeet ke pran kaha gaya h,jis parkar manav shareer ki rachna ke liye asthi,pinjer aur pran aavshayak h,usi parkar shastriye sangeet ke liye taal ki aavshayakta hoti h.Raag ki bandish shastriye sangeet ka keval shareer maatr hoti h,parntu taal unme praano ka sanchaar kerta h.Anand ki prapti me bhi taal purn roop me sahayak hota h.Taal sunte hi hamare haath,paav,sir sabhi hilne lag jate h.Taal ke dawara anandanubhuti ka partayksh perdarshan bacho me dekha ja sakta h,jo taal ki thap per ni:sankoch nachne lag jate h.Is parkar sangeet ke dawara anandanubuti ya rasanubhuti me bhi taal ka yog sawar ke saman hi maana gaya h.Shastron me taalyukt gaayan,vadan ko moksh prapti ka marg mana gaya h.
Taal ka mehtav-(part2)-Bhin-Bhin matraon ke samuh se vibhin taalon ki rachna hoti h,jese 6 matra ka dadra taal,8 matra ka kehrwa taal,10 matra ka jhap taal,12 matra ka ek taal aur 16 matra ka teen taal adi.In taalon ki rachna geet ke bhin parkaron ke aadhar per hui h,jese khayal ki sangti ke liye teen taal,ek taal,tilwada taal,thumari gaayan sheyli ki sangati ke liye deepchandi taal aur halke fulke geeton ke liye dadra aur kehrawa adi taalon ki rachna hui.Partek taal ke kuch bol nishchit ker liye jate h,jese-dhina,kit,tak,tu,na adi.Taal ke in nishchit bolon ko tabla,mridang,dholak adi chamde ke madde hue vadhyon per bajaya jata h.Gaate-bajate samey gaayan,vadananukul taal ki lagatar sangti hoti rehti h,jis se gaayan vadan bada madhur aur akarshak ban jata h.
Saransh yeh hai ki taal nishchit maatraon ka ek kayam kiya hua chakr hota h.Yeh gaayan,vadan aur nritey ke kalman ko nirdharit karne ke liye thik usi parkar kaam krta h,jis parkar ghante batane ke liye minute aur minute ke liye seekind.Pertek taal ko batane ke liye maatra,sam tali,khali,vibhag,aavartan,the
No comments:
Post a Comment